| Dard kaisa Bhi ho Aankh Nam na karo Raat kaali hi sahi koi Gham na karo ik Sitara Bano Jagmagatay Raho Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho Baant'ni Hai Agar Baant Lo Har khushi Gham na Zahir karo Tum kisi Per kabhi Dil ki Gehraai Mein Gham Chupatay Raho Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho Ashk Anmool Hein kho Na Dena kahin in ki Har Boond Hai Motiyoon Se Haseen in ko Har Ankh se Tum Churatay Raho Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho Faaslay kam karo Dil Milatay Raho Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho |
Thursday, September 16, 2010
Dard kaisa Bhi ho Aankh Nam na karo
Rona Aaya
Rona Aaya
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
.
Majburi k mousam main bhi jina parta hay
Thora sa samjhota janam karna parta hay
Lagta hay yeh jewan jasey bojh ho koy bhari
Dil kehta hay royein lekin hansna parta hay
Pata naheen chalta qadmon main kitni hain zangirain
Paoun bandhy hoty hain phir bhi chalna parta hay
Kis ko khabar in lamhon main ban jaye koun sahara
Dunya jasi bhi ho rishta rakhna parta hay!!!
.
Thursday, August 26, 2010
Jey mein vekhan mere bahir Tu ain
Tey Mere under kon samana
Jey mein vekhan mere under tu ain
Te taan muqayad jana
Bus bahir Tu ain mere man wich Tu ain
Mein v Tu, tey Tu v Tu ain
Wich Bulha kon namana
Nafs paleed, paleed jey keeta
Bulhaya asal paleed tey na sey
La makan makan aye sada
Eithey aan butan wich phasay
Friday, July 16, 2010
Kalim Ajiz Ghazal (Zaalim thaa vo)
Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
Majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii
Us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
Go apnii tabiyat meN baGhaavat bhii bahut thii
Vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
Dil ke liye thoRii sii inaayat bhii bahut thii
YuN hii nahiiN mashhuur E zamaanaa meraa qaatil
Us shaKhs ko is fan meN mahaarat bhii bahut thii
Kyaa daur-e-Ghazab thaa k lahuu dil meN bahut thaa
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii
Har shaam sunaate the hasiinoN ko Ghazal ham
Jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii
Bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaaN bhii bahut haiN
Kyaa kiijiye kam_baKht kii shohrat bhii bahut thii
Wednesday, July 7, 2010
Tuesday, July 6, 2010
Suhag ki wo raat
Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai,
Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki,par us ne mehkai thi,
Ghunghat mein ik chand tha,aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi,phir zor se aayee thi,
Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar,uske chehre par aya tha,
Bahoon mein le kar usko,phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi,
Tika,bindi,kangna,payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha,
Doob gaye the hum dono,us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko,uske pyar ke baag mein,
Kya batlaaye ab hum,woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi,................... --
.
Don't Run Away from Your Problems
> When you take something for granted, you can quickly forget that it's even
> there. If you take it for granted long enough, it may in fact be gone the
> next time you look for it.
> Why is gratitude so very powerful? Because it keeps you connected to all the
> good things in your life.
> Don't let the immense value that's already yours wander away because of
> neglect. Take time to remember, take time to celebrate and be grateful, and
> take time to say thank you.
> Instead of continually wishing for more, take a loving and thankful look at
> all that you already have. By sincerely appreciating what's already yours,
> you can build upon it to reach any dream you could possibly imagine.
> Make it a habit to reflect each day on how truly fortunate you are. It is
> your awareness that enables your richest blessings to continue unfolding and
> expanding throughout your world.
> See the beauty that's already there, and the value that's already yours. It
> is more than enough to propel you positively and meaningfully forward.
yaad nahi
>Kab talak shama jali, yaad nahi
> Sham-e-gham kaise dhali, Yaad nahi
> Iss qadar yaad hai apne the sabhi
> Kiss ne kya chaal chali, yaad nahi
> Hum zamane main kuch aise bhatke
> Ab tu unn ki bhi gali yaad nahi
> Abur tha jaam tha par app na the
> Woh Ghari kaise talli, yaad nahi
> Kat gayi umar kissi tarah Qateel
> Woh buri thi kay bhali, Yaad nahi
EK KHUWAAB!!
~~ EK KHUWAAB ~~
Raat phir khuwaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuch sawaal kiye
Usse pahley mujhey duaa ye di
Khuda karey ke tu sau saal jiye
Unki aankhon main mohobbat bhi thi,
Afsos bhi tha
Ek aanso bhi tha un aankhon main
Jo chillata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha ke betey kaisey ho
Koi diqqat to nahin hai tumko
Phir kaha!!!!
Tumko maloom hai kya
Main bari takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul ke ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp banke danstey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami thi kya
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye padaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
Ki apney ilm par Guroor karo
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Chorkar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao ki kya ye qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ke tu mujhey bhool gaya
Ranj ye hai ki mera jeena hi fizool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
Khuda karey ki tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
Ki ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajr miley terey naik kaamon ka
Saturday, July 3, 2010
tu nhi he to tera gham meri tanhai he
tu nhi he to tera gham meri tanhai he
teri ek yad he jo mere dil ko bhai he
ankhi nam he or dil me dard ka alam
honth si kar bhi ruswai yan uthai hei
kiya gamon ko hi piyar kehte hei
ya taqdeere moohabbat hi judai he
haal dil ka kuch aaj aesa he sajan
tadhapte dil ne bhi pukara he
rooti ankho ne pukara he sanam
rukti sanson ne bhi pukaara he
dil ki gehraai me tu bas taa he
dil ki dharkan ne bhi pukaara he
rukti sanson ne bhi pukara he
mera ye room-room kehta he
raat barsat ki he ajao rooh dil ne pukara he
bhige honton ne nam ankhon ne pukara he
--
Saaqii
laa pilaa de sharaab ai saaqii
yaa suraahii lagaa mere muunh se
yaa ulaT de naqaab ai saaqii
maikadaa chhor kar kahaan jaauun
hai zamaanaa Kharaab ai saaqii
jaam bhar de gunaahagaaron ke
ye bhii hai ik savaab ai saaqii
aaj piine de aur piine de
kal karenge hisaab ai saaqii
--
Tasweer Teri dil mai banati mai rahounngi
Tasweer Teri dil mai banati mai rahounngi Yadon se tere ghar KO sajati mai rahoungi Jugnu meri palko per chamakte hi rahenge Raotn KO Rasta mai tujhe dikhati hi rahoungi Mai tere dil mai Teri aankhon mai rhaon Zindgi banke sanam mai Teri saasno mai rahon Or ab mai tujhe soochti rehti hoon karbat karbat Meri khwahis thi ki har pal Teri bahon mai rahon |
-
ARMAN !
Jo Phoot Parry Chashmy To Dabaye Nahi Jaty
Aansu Bhi Chhupany Se Chhupaye Nahi Jaty,
Chehry Se He Andaza Hua Karta Hai Dil Ka
Warna To Kabhi Daag Dikhaye Nahi Jaty,
Tu Aa K Mere Dil Mein Jo Thhehry Bhi To Kese
Sehraon Mein To Shehr Basaye Nahi Jaty,
Tu Ne Bhi Kisi Aor Ko Rakha Hai Nazar Mein
Ham Se Bhi Tere Naz Uthaye Nahi Jaty,
Khushbu Rachi Ho Jis Mein Tere Mehr-O-Wafa Ki
Woh Qissy To Auron Ko Sunaye Nahi Jaty,
Saoda Ye ishq Ka Hai Meri Jaan K Dushman
ARMAN Lutaye Jaty Hain" Bachaye Nahi Jaty !
--
Suno!!!
Suno!!
Jab sham ki dhank gum hojaye
jab raat ki siyahi phel jaye
mujhe apna saath dena
jab koi mujeh na bhaye
koi pal kahin raas na aye
Suno!!
Tum mere pass hona
tum mera ehsas hona
jab dhoop khiley
aur phool mehkein
jab aankhein khwab sajayien
aur phr choonk ke khul jayien
Suno!!
Mere khawabon ke sathy hona
meri khwiashon ke ameen hona
jab koi tarey chamkien
ya baarish barsey
Suno!!
Dhanak ke rang sang sajana
maine chahi hai khushi
tum meri un duaon ke sath rehna
Friday, July 2, 2010
Mohabbat Chup Nahi Raheti…

Wo Boli, Dil Ko Koi Beyaqeeni Hai Muhabbat Me
Mai Bola, Thik Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Wo Boli, Arzoain Dil Ke Andar Bain Karti Hai
Mai Bola, Thik Hai Mujh Ko Sunayi Deti Rahete Hain
Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Mai Bola, Thik Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Wo Boli, Koi Shab To Khwab Me Bhi Khwab Aate Hain
Mai Bola, Thik Hai Kuch Hasraten Aisa Bhi Karti Hain
Wo Boli, Barishon Me Aur Ziyada Jaan Sulagti Hai
Mai Bola, Thik Hai Ye Aag Pani Ke Masael Hain
Wo Boli, Raat Kion Mushkil Se Kat-ti Hai Judai Me
Mai Bola, Waqt To Kaifiyaton Ka Naam Hota Hai
Wo Boli, Chahaton Me Dard Ke Rehne Ki Khwahish Kion
Mai Bola, Dard Ke Mare Huwon Ko Chain Milta Hai
Wo Boli, Rooh Ki Aasoodgi Ko Kiya Zaroori Hai
Mai Bola Rooh Ko Aaloodgi Achchi Nahi Lagti
Wo Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kiya Kahani Hai
Mai Bola, Aadam O Hawwa Ki Chahat Ki Nishani Hai…
Poet : Fahat Abbas Shah
Wednesday, June 16, 2010
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
Sukhe Patto Ka Bacha Dher Hai Jala De Koi
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
Meri Pehchan Ka Ek Shaks Isi Shehar Mein Hai
Meri Pehchan Ka Ek Shaks Isi Shehar Mein Hai
Main Bhi Zinda Hoon Zara Usko Bata De Koi
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
Kuch To Tanhayi Ka Ehsas Mujhe Kam Hoga
Kuch To Tanhayi Ka Ehsas Mujhe Kam Hoga
Mere Saaye Se Agar Mujhko Mila De Koi
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
Sukhe Patto Ka Bacha Dher Hai Jala De Koi
Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi
--















