Friday, August 7, 2009

naheen tha shayad




Ishq kaysa keh bharousa bhi naheen tha shayad
ous say mayra koe rishta bhi naheen tha shayad

khalqat-e-shahar main jis haar kay charchay hain bohat
main who bazi kabhi khayla bhi naheen tha shayad

zeest karnay kay sab aadaab ousay azbar thay
mujh ko marnay ka saleqa bhi naheen tha shayad

khaak ouraatay hoay bazaroun main daykha sab nay
main kabhi ghar say nikalta bhi naheen tha shayad

ouski aankhoun main bisharat thi naey khawaboun ki
main ousay daikh kay chounka bhi naheen tha shayad

aik badal keh mayray naam say mansoob hoa
mayray sehra main tou barsa bhi naheen tha shayad..!!!!!!!!!




Thursday, August 6, 2009

Bhool gaey





Kuch haal tha us din aisa
Raaton ko sona hum bhool gayay

Mehnat ka undaaza huwa uss waqt
Kyu kitaabain parhna hum bhool gayay

Nakal banayi raat bhar jaag kar hum nay
Intahaa hoi ussay rakhna hum bhool gayay

Rattay lagatay thay do chaar sawaal
Who bhi raastay main hum bhool gayay

Paper shuroo kya inalillah parh kar kay
Bismillah parhna he hum bhool gayay

Likha paper per pehlay naam abba ka
Per apna naam likhna hi bhool gayay

Kya undaaza kab khatam huwa paper
Hum to ghantay ginna hi bhool gayay

Kyay thay hum nay yaqeen say saaray sawaal
Per ufsos jawaab likhna hee hum bhool gayay

Likha tha result main humaray F grade
Hum samjhay sir A grade daina bhool gayay




Nahi milti





Har ek Jazbat ko Zuban nahi milti,
Har ek Aarzu ko dua nahi milti,
Muskurahat banaye rakho to duniya hai sath,
aansuo ko to ankho me bhi panah nahi milti