Monday, September 14, 2009

usay kehna


ae chand......!
 
usay kehna wo jo door bahut door basta hai,
usay koi yaad karta hai be-hissab karta hai,
 
                     usay kehna.....
 
jab wo kisi ke sang hansta hai,
to phir door bahut door kisi ka dil dharkta hai,
 
                   usay kehna....
 
jab wo udas hota hai pas uske koi gham hota hai,
to phir door bahut door kisi ki aankhon se lahoo barsta hai,
 
                   ae chand....... ..! usay kehna....
 
jise wo chor aaya tha jise wo tor aaya tha,
wo aaj bhi tere aas pas basta hai.......
 

Wednesday, September 9, 2009

UMEED






Kisi ki yad dil mein hai koi ehsas baqi hai
Badlte mosmon k darmiyan ik raz baqi hai

Abhi to main safar me hoon milengi manzilen mujh ko
Mgr in raston k darmiyan ak sath baqi hai

Kahin par sham dhalti hai kahin par rat hoti hai
Abhi to chandni hai chand ki rat baqi hai

Chale aao kisi din tum hamara hal bhi dekho
Hamara jism murda hai mgr ik sans baqi hai

Umeed hai phir milega wo hamen 1din
Khuda par hai bhrosa abhi Khuda ki zaat baqi hai.

Mohabbat ka



Kis Kadar Anokha Hai Zaabta Mohabbat Ka,

Kab Na Janay Ho Jay Maujza Mohabbat Ka,


Apni Zaat Say Bhale Woh Ajnabi Sa Lagta Hai,

Jis Ke Sath Ho Jay Haadsa Mohabbat Ka,


Woh Chala He Jata Hai Jisnay Jana Hota Hai,

Lakh Do Chahay Usko Waasta Mohabbat Ka,


Zindagi Ko Jeenay Ka Aasra Nahi Rehta,

Jab Kisi Se Chinn Jai Hosla Mohabbat Ka,


Doston Se Agar Tumhain Mohabbat Hai,

Doston Ko Mat Dena Mashwara Mohabbat Ka.