dard jab terii ataa hai to gilaa kis se kare.n hijr jab tuune diyaa hai to gilaa kis se kare.n aqs bikharaa hai teraa TuuT ke aa_iine me.n ho gayii nam nazar aqs liyaa kis se kare.n mai.n safar me.n huu.N mere saath judaa_ii terii ham-safar Gam hai to phir teraa pataa kis se kare.n khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaa_ii tere har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se kare.n tere lab, terii nigaahe.n tere aariz terii zulf itane zi.ndaa.N hai.n to is dil ko rihaa kis ke kare.n
Wednesday, October 14, 2009
dard jab terii ataa hai to gilaa kis se kare.n
Tmanna
* Tamna hai koi dil ki baat kare *
* Hasrat hai koi dil sae yaad kare *
* Main osko daekhon wo mujhko daekhye*
* Khuda bassr mari isi tarha har raat karye *
* Tham jaen gharyan ruk jaen dharkanen *
* nazar nazar sae milye or wohi baat karye *
* Din mahinye saal or sadyan youn hi beet jayen *
* ik khowasish hai k bass wo *
* Itni see hi mulaqat karye *
Zindagi ki Kitab
Yeh jo Zindagee ki kitaab hai,
yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khawab hai
kaheen jaan leva azaab hai
Kahin aansoon ki hai daastaan,
kahin muskurahaton ka bayaan
Kai chehray is mein chupay huey
ik ajeeb sa yeh naqaab hai
Kahin kho dia, kahin paa liya,
kahin ro liya, kahin gaa liya
Kahin cheen leti hai her khushi,
kahin meherbaan be hisaab hai
Kahin chaaon hai kahin dhoop hai,
aur kaheen koi haseen roop hai
Kahin barkaton ki hain baarishein
kahin tashnagi be hisaab hai
Subscribe to:
Posts (Atom)