Tuesday, December 8, 2009

Pura dukh aur aadha chaand





Pura dukh aur aadha chaand
Hijr ki shab aur tanha chaand

Din mein wehshat behel gayi thi
Raat hui aur nikla chaand

Kis maqtal se guzra hoga
Itna sehma sehma chaand

Yaadon ki abaad gali mein
Ghoom raha hai tanha chaand

Meri karwat per jaag uthey
Neend ka kitna kachha chaand

Mere mu ko kis hairat se
Dekh raha hai bhola chaand

Itney ghaney baadal ke peechay
Kitna tanha hoga chaand

Aansu roke noor nahaaye
Dil dariya, tann sehra chaand

Itne roshan chehre per bhi
Suraj ka hai saya chaand

Jab paani mein chehra dekha
Tuney kisko socha chaand

Bargad ki aik shaakh hata ker
Jaaney kisko jhaanka chaand

Baadal ke resham jhooley mein
Bhor samey tak soya chaand

Raat ke shaanon per sar rakhey
Dekh raha hai sapna chaand

Sookhay patton ke jhurmat per
Shabnam thi ya nanha chaand

Haath hila ker rukhsat hoga
Uski surat hijr ka chaand

Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq mein sacha chaand

Raat ke shayed aik bajey hain!
Sota hoga mera chaand !!


Parveen Shakir.
( Majmua-e-kalaam : Khushbu,,, Safha no. 199)

--

Saturday, December 5, 2009

Us Se Mohabbat Hai To Hai




Us Se Mohabbat Hai To Hai..

Wo Nahi Mera Magar Us Se Mohabbat Hai To Hai,
Yeh Agar Rasm-o Rivajon Se Baghawat Hai To Hai

Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamane Ki Nazar Mein Ye Himakhat Hai To Hai

Dost Ban Kar Dushmanaon Sa Vo Satata Hai Mujhe,
Phir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai

Kab Kaha Mainey Ki Wo Mil Jaye Mujhko,
Uski Banhon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai

Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai

Wo Sath Hai To Zinda Hai Ashiqe,
Meri Sansaon Ko Uski Zaroorat Hai To Hai


Dur The, Dur Renhenge Har Dum Ye Zamein Asmaan,
Duriyaon Ke Baad Bhi Dil Mein Khurbat Hai To Hai

Mainey Kab Kaha Tu Mil Hi Jae Mujhe,
Par Gair Na Ho Jaye Itni Si Hasrat Hai To Hai

--

Thursday, December 3, 2009

Kash mein teray school ka basta hota,......






Kash mein teray school ka basta hota,

Tou barey shoq sey barey maan k sath,

Apnay piyary sey kandhey per sajati mujh ko,

Kisi kaam sey hath lagati mujh ko,

Mein teray hath ki khushbo sey mehk sa jata,

Raat ko jab bhi tou apna home work kerti,

Mein teri aahat sey zara dehak sa jata,

Meri saanso'n ki zanjeer jab tou khola kerti,

Mein teray hath ki narmi sey chehak sa jata,

Tou meray baray mae sakhiyoun sey batien kerti,

Mein en bato'n sey thora behak sa jata,

Parhaie sey thak ker jab desk mae chhupati mujh ko,

Thaki haari beaith k jab hath lagati mujh ko,

Desk k dabay mae chup ker jana,

Teri sakhiyoun mae tujh hi ko deakha kerta,

Maana k mein ek be-jaan sa kapra hota,

Mager tou ney mujhey hath mae pakra hota,

Mujh ko chhornay ka na teray pas koi rasta hota,

Kash main terey school ka basta hota