Thursday, January 28, 2010

Mujhe dekha karogy

>


jawaani ke heele, hayaa ke bahaane, yeh maana ke tum mujhse purdah karogi
yeh duniya magar tujhsi bholi nahiN haiN, chupakar muhobath ko roosva karogi



badi koshisoN se, badi kaavishoN se, tammanna ke sehmi hui saazishoN se
milega jo mauka, tho bechain hokar, dareechoN se tum mujhko dekha karogi


sathaayegi jab chandni ki udhasi, dukhaayegi dil fiza ki khamoshi
ufaq ki taraf khaali nazreN jamakar, kabhi jo na socha wo socha karogi


--

Tuesday, January 26, 2010

Zamana guzar gaya





Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya
Main ne kaha ke husaan bhi hum se mukar gaya


Us ne kaha keh tuj ko dilani hain chooriyaan
Main ne kaha ke aab wo zamana guzar gaya


Us ne kaha ke kya hoti kaajal ki dhaar si
Main ne kaha ke ankh se darya guzar gaya


Us ne kaha kehyeh teri chooriyoon se dosti
Main ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya


Us ne kaha ke kya mila sab se bigar ke
Main ne kaha ke waqat acha guzar gaya


Us ne kaha ke khuwab main aane ka waqat doo
Main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya


Us ne kaha keh wo tere sooraj ka kya bana
Main ne kaha ke wo mere dil main utar gaya



Akhir ko tang aa ke, kahi us ne itni baat
Wo tum kahan gaye wo zamana kidher gaya...


--

 

Saturday, January 23, 2010

Poetry


 

Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,

Jab aankhein bhaari ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,

Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,

Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,

Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.

 --