Tuesday, March 9, 2010

Ho jatay




chup na rahtay bayaan ho jatay
tujh se gar badguman ho jatay...

tu nay dekha nahi platt kay humein
werna hum maharban ho jatay…

teray dil ki zameen hi na mili
werna hum asman ho jatay


--

Jo Log Wafa Ke Qatil Hain Wohi Log Bicharny Walay Hain,



Jo Khuwaab Sajaye Aankhon Ne Wo Khuwaab Bikharny Waly Hain,


Hamein Dil Mein Basana Theek Nahi Hum  Log Ujarny
Waly Hain,


Wo Chhod Gaya Mujhy Kaanton Pe Pholoon Ke Khiltay Mausam Mein,


RAB Khair Kary lauta He Nahi Ab Pattay Jharny Waley Hain,


Wo Shaks Ke Jis Ki Aankhon Say Dil Mein Thandhak Rehti Thi,


Ab Door Gaya To Aisa Laga Hum Jaisy Pighalnay Walay Hain,


Jo Haath Ko Lekar Haathon Mein Mere Pyar Ki Kasmein Khatay Thy,


Jo Log Wafa Ke Qatil Hain Wohi Log Bicharny Walay Hain,

--

Monday, March 8, 2010

Daita raha faraib koi saadgi k sath


{~ Ghazal ~}

 

Daita raha faraib koi saadgi k sath
Itna bara mazak meri zindagi k sath

 
Shayad mili saza is jurm ki mujhey
K tha mujhey pyar ek ajnabee k sath


Wo zehar bhi detey rahe dawa ki tarhan
Itna bura sulook meri saadgi k sath


Apna samjh k jis k liye hum ujar gaye
Kal sham ja raha tha kisi ajnabee k sath!!!!

~~~~~~~

IMRAN KAHN


 


__._,_.___