Saturday, July 3, 2010

ARMAN !





ARMAN !

Jo Phoot Parry Chashmy To Dabaye Nahi Jaty
Aansu Bhi Chhupany Se Chhupaye Nahi Jaty,

Chehry Se He Andaza Hua Karta Hai Dil Ka
Warna To Kabhi Daag Dikhaye Nahi Jaty,

Tu Aa K Mere Dil Mein Jo Thhehry Bhi To Kese
Sehraon Mein To Shehr Basaye Nahi Jaty,

Tu Ne Bhi Kisi Aor Ko Rakha Hai Nazar Mein
Ham Se Bhi Tere Naz Uthaye Nahi Jaty,

Khushbu Rachi Ho Jis Mein Tere Mehr-O-Wafa Ki
Woh Qissy To Auron Ko Sunaye Nahi Jaty,

Saoda Ye ishq Ka Hai Meri Jaan K Dushman
ARMAN Lutaye Jaty Hain" Bachaye Nahi Jaty !


--

 

 

poetry


Suno!!!




Suno!!

Jab sham ki dhank gum hojaye
jab raat ki siyahi phel jaye
mujhe apna saath dena
jab koi mujeh na bhaye
koi pal kahin raas na aye

Suno!!
Tum mere pass hona
tum mera ehsas hona
jab dhoop khiley
aur phool mehkein
jab aankhein khwab sajayien
aur phr choonk ke khul jayien

Suno!!
Mere khawabon ke sathy hona
meri khwiashon ke ameen hona
jab koi tarey chamkien
ya baarish barsey

Suno!!
Dhanak ke rang sang sajana
maine chahi hai khushi
tum meri un duaon ke sath rehna