Tuesday, July 28, 2009

Hum sunaein to kahani aur hai


mujh se juda hojaye





dil mein phir kuch b nai ho ga khalaaon k siwa
tu kisi roz agar muj se juda ho jaye

wo bahut rakhta hai chahat ki namzon ka hisab
wo to ik sajda na bakhshe jo kaza ho jaye

thapkiyan de k sulati hai teri yaad hamien
neend jis raat b ankhon se khafa ho jaye

ye tariqa hai mohabbat ki ebadat ka Wasi
us ko choo lene se ik rukan ada ho jaye




mashgala tehra





Mera khamosh reh kar bhi unhain sabb kuch suna dena
Zuba'n se kuch na kehna dekh kar aansoo baha dena

Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thhehra
K do tinkey jaha'n par dekhna bijlee gira dena

Ijazat ho to kehdoo'n qissa e ulfat sar e mehfil
Mujhey kuch to fasana yaad hai kuch tum suna dena

Mai mujrim hoo'n mujhey iqrar hai jurm e mohabbat ka
Magar pehley khata par ghaur kar lo phir saza dena

Mai jiss haalat mai pohncha hashr waley khudd pukar utthey
Koi faryad karne aa raha hai raasta dena