Monday, August 31, 2009

Mere Ek Sawal Ka Jawab De Ker Jana



 

 
Mere Ek Sawal Ka Jawab De Ker Jana

 
"Kahan Aye Dost Chalte Jha Rahe Ho
Bohat Aage Nikalte Jaa Rahe Ho



Chale Jao Mager Yeh To Bata Do
Yeh Raaste Kiyun Badalte Ja Rahe Ho?


Dilon Ko Ishq Ki Sooli Charha Ker
Kahan Aab Haath Malte Ja Rahe Ho


Hume Samjha Rahe Ho Pyaar Se Tum
Suno....Tum Bhi Badalte Ja Rahe Ho


Utha Ker Bojh Kaandho Per Jafa Ka
 Suna Hai Phir Sambhalte Ja Rahe Ho


Lagi Ho Chot Koi Dill Pe Jaise
Utha Ker Dard Chalte Ja Rahe Ho


Barha Ker Dosti " Meray " Se
Kaha Saayon Main Chalte Ja Rahe Ho


Jao ....Chale Jao ...
Kabhi Na Wapas Ana
Bohut Door Chale Jao


Kabhi Peeche Mur Ker Na Dekhna
Magar Jane Se Pehle
Mere Ek Sawal Ka Jawab De Ker Jana


Kiya Tumhey Muj say Mohabat Thi...?
 

 

Teray_Janey_k_Baad@hotmail.com

 

Teray Janey k Baad



 

Khushi Milte Hi Aankho Se Tapak Jati Hai



 
 
627201q5jaigt1egp.gif
 
 

Dosti karna hamain bhi sikhado zara,
Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara,
Hum tumharay dil mein hain k nahi,
Zuban say na sahi sms se to batado zara.

--------------------------------------------------------------------
 

Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai

Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai

Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke

Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar  jatihai

Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai

Bagair iske to zindagi bhi adhurihai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai

Khushk aankhon me kai bar jhalak  jatihai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai

627201q5jaigt1egp.gif



kab palat'ty hain bhala chhor k janay walay........



---

Yun hi Umeed dilatay hain zamanay walay
kab palat'tay hain bhala chhor ke janay walay
 
Tu kabhi daikh jhulastay hue sehra main darakht
kese jaltay hain wafaon ko nibhanay walay
 
Un se ati hai tere lams ki khushbu ab tak
khat nikalay hue baitha hon puranay walay

aa kabhi daikh zara un ki shabon main akar
kitna rotay hain zamany ko hansany walay

kuch to ankhon ki zubani bhi kahay jatay hain
raaz hotay nahen sab munh se batanay walay

aaj na chand na tara hai na jugnu koi
raabtay khatam hue un se milanay walay......