Wednesday, June 16, 2010

Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi



---

Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi


Sukhe Patto Ka Bacha Dher Hai Jala De Koi


Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi

 

Meri Pehchan Ka Ek Shaks Isi Shehar Mein Hai
Meri Pehchan Ka Ek Shaks Isi Shehar Mein Hai

 
Main Bhi Zinda Hoon Zara Usko Bata De Koi


Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi

 

Kuch To Tanhayi Ka Ehsas Mujhe Kam Hoga
Kuch To Tanhayi Ka Ehsas Mujhe Kam Hoga


Mere Saaye Se Agar Mujhko Mila De Koi


Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi


Sukhe Patto Ka Bacha Dher Hai Jala De Koi

 

Mere Khwabon Ka Har Ek Naksh Mita De Koi


--

                            

Friday, June 11, 2010

YE KHAOF !



YE KHAOF !

Harf -E-Ranjish Pe Koi Baat Bhi Ho Sakti Hai
Ain Mumkin Hai Mulaqat Bhi Ho Sakti Hai,

Zindgi Phool Hai" Khushbu Hai" Mager Yaad Rahey
Zindgi Gerdish-E-Halaat Bhi Ho Sakti Hai,

Hum Ne Yeh Soch K Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala-O-Gul Mein Teri Zaat Bhi Ho Sakti Hai,

Chaal Chalty Huwy Shatranj Ki Bazi K Asool
Bhool Jao Gy To Phir Maat Bhi Ho Sakti Hai,

Aik To Chhat K Bina Hai Ghar Hamara
Us Pe YE KHAOF  Keh Bersat Bhi Ho Sakti Hai !


--


PAGAL LARKI !


PAGAL LARKI !


Meri Ankhon k Samandar Mein Jalan Kesi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapny Ki Lagan Kesi Hai,

Ab kisi Chhat Pe Charagon Ki Qataarain Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon M
ein Ghutan Kesi Hai,

Baraf K Roop
 Mein Dhal Jaein Gy Saary Rishty
Mujh Se Poochho M
uhabbat Ki Agan Kesi Hai,

Mein Tere Wisaal Ki Khuwahish Ko Na Marny Doon Ga
Mausam-E-Hijar K Lehje M
ein Thakan Kesi Hai,

Regzaron M
ein Jo Banti Rahi Kanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon M
ein Kiran Kesi Hai,

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pe Taras Ataa Hai
Usy Dekho To M
uhabbat Mein Magan Kesi Hai !


--