Wednesday, September 9, 2009

UMEED






Kisi ki yad dil mein hai koi ehsas baqi hai
Badlte mosmon k darmiyan ik raz baqi hai

Abhi to main safar me hoon milengi manzilen mujh ko
Mgr in raston k darmiyan ak sath baqi hai

Kahin par sham dhalti hai kahin par rat hoti hai
Abhi to chandni hai chand ki rat baqi hai

Chale aao kisi din tum hamara hal bhi dekho
Hamara jism murda hai mgr ik sans baqi hai

Umeed hai phir milega wo hamen 1din
Khuda par hai bhrosa abhi Khuda ki zaat baqi hai.

No comments:

Post a Comment