Her Simt Gham E Hijr K Tufan Hein Mohsin
Her Simt Gham E Hijr K Tufan Hein Mohsin
Mat Pooch K Hum Kitney Preshan Hein Mohsin
Her Chehra Nazer Aata Hai Tasveer Ki Soorat
Hum Sheher K Logon Se Bhi Anjan Hein Mohsin
Jis Sheher E Mohabbat Ne Hamein Loot Liya Hai
Us Sheher Se Ab Kooch K Imkan Hein Ab Mohsin
Kashti Abhi Umeed Ki Doobi To Nahi Hai
Phir Kyun Teri Aankhon Mein Yeh Tufan Hein Mohsin
Ker Inka Adab Rakh Inhein Seeney Se Laga Ker
Yeh Dard Yeh Tanhaiyan Mehman Hein Mohsin
___________________________________________________
Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hai
Kagaz Ki Haveli Hai Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Sharte Mohabbat Hai Kya Sharte Zamaana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai
Uss Paar Uterne Ki Ummeed Bahot Kam Hai
Kashti Bhi Purani Hai Tufaan Ko Bhi Aana Hai
Samjhe Ya Na Samjhe Wo Andaaz Mohabbat Ke
Ek Shaks Ko Aakhon Se Dil Ka Sara Dard Sunana Hai
Bholi Si Ada Koie Phir Ishq Ki Zid Per Hai
Phir Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai
--
"
No comments:
Post a Comment