Friday, October 9, 2009

Chale Aana






Hamari yaad sataye to phir chale aana
Kahin qaraar na aaye to phir chale aana
 
Tera WAQAR rahe ga hamari nazron mein
Nazar se koi giraye to phir chale aana
 
Hamare haal pe duniya ko hansaney wale
Tumhein zamana rulaye to phri chale aana
 
Khuda kare baharon mein teri ye zindagi guzrey
Khizan ka khauf sataye to phir chale aana
 
Har shaks hai duniya mein pyar ke qabil
Kisi pe pyar na aaye to phir chale aana










No comments:

Post a Comment